Cover picture of Best hindi blogs to follow |
Blogging me hamesha kuchh na kuchh seekhne ke liye hota hai chahe aap ek New Blogger ho ya well based. Sabse maje ki baat toh yeh hai ki Blogging me kuchh bhi Seekhne ke liye apko kahhi jana nahi padega sab kuchh apko apki Computer Screen pr hi mil jaega, Bas thoda carefully search karne ki jarurat hai.
Internet par apko dhero Hindi Websites ya Hindi Blogs mil jaengi jaha apko Blogging se related tips and tricks mil jaengi par jyadatar hindi Blogs ka Content itna achha nahi hota ya toh wo copied hota hai ya fir itna messed-up ke wo apko confuse kar de.
Hindi Blogs toh apko dhero mil jaengi par Hindi ki High Quality Content wali Blogs apko bahut kam milengi, Jaha apko Sach much kuchh seekhne ko mile.
Toh aiye aaj ham unhi kuchh Best Hindi Blogs ke bare me jaante hai jinhe apko jarur follow karna chahiye, jinse apko kuchh na kuchh seekhne ko milega, Jinka content bahut high quality ka hai, jo wakai me apni content ki quality ko high rakhne ke liye mehnat karte hain, jo Blogging ko lekar passionate ya serious hain.
Jin Blogs ya Websites ke bare me, me apko bataunga unme se kuchh toh Well Based hain, par kuchh nayi hain, kuchh tech ya blogging se related hain toh kuchh motivational stories based hain.
Me yaha kisi bhi website ya Blog ko kisi kram me nahi rakh rha hu, Yeh sari hi Blogs apne aap me Best Hindi Blogs hain.
Some of the Best Hindi Blogs to Follow:
Is website se toh apme se bahut se Blogger waakif honge hi, hamme se Bahut se Bloggers ka, Blogging me aane ki wajah yahi Blog ho sakti hai. Mene khud ne Blogging ki shuruwaat is Blog se inspire hokar ki thi.
Yeh Blog Gopal Mishra dwara banai gyi hai. Is blog par apko Motivational Stories, Business Ideas jaise Articles padhne ko mil jaenge.
Agar ap ek new Blogger hain toh apko yeh blog jarur pdhna chahiye is blog se aap inspire hone ke sath-sath apni writing skills ko bhi sudhaar sakte hain.
Best of Achhikhabar.com Category ke Articles toh apko jarur padhne chahiye.
Is blog or Author ke baare me Vistaar se janne ke liye aap Achhikhabar.com ka About page padh sakte hain.
Is Blog ko kisi introduction ki jarurat nahi hai. Is Blog ki Popularity ka andaza aap Is Blog ki Alexa Rank or Comments me aaye dhero comments ko dekh kar laga sakte hain.
Yeh Blog Rohit Mewada dwara bnai gyi hai. HindimeHelp par apko Blogging, Online Money Making, Tech etc. se related bahut saare articles padhne ko mil jaenge. Apki Bahut sari Blogging se related problems ka solution apko is blog par mil jaega.
Hindimehelp ke bare me vistaar se janne ke liye aap iska About page padh sakte hain.
Yeh Blog July 2015 me Jumedeen Khan dwara bnai gyi thi. Is Blog ki popularity ka andaza aap iski Monthly Income Reports me dekh kar laga sakte hain. Itne kam samay me itni jaldi itni uplabdhi haasil karna kabile tareef hai.
Is blog par bhi apko Hindimehelp ki tarah Blogging, Online Money Making, Tech, Adsense etc. se rlated bahut sare articles padhne ko mil jaenge.
Supportmeindia.com ka about page padhne ke liye click Here!
Wese toh yeh Website English me hai par iske bahut sare Articles Hindi me translated hai joki apko Hindi Section me mil jaenge.
Is Site par apko Startups, Motivational Stories, business, Marketing etc. ke baare me jaankari mil jaegi. Yeh Blog meri pasndida Blogs me se ek hai. Yaha apko aise Aam Logo ki kahaniya padhne ko mil jaengi jo apni Mehnat or Lagan se Aam se khaas logon me shamil hue.
Apko is Website ko ek baar jarur visit karna chahiye!
Is Blog ke bare me or jaankari ke liye ap iska About Page padhe sakte hain.
Is blog ke professional hone ke andaza aap is blog ke design se laga sakte hain. yeh Blog Nikhil Arora dwara shuru ki gyi hai joki khud ek WebDesigner hain.
Mujhe personnaly is blog ko padhnaa kafi pasand hai. Is Blog ka content kafi Rich quality ka hai. Yeh Blog bhi tech, Blogging, money making etc. se related hai.
Is Blog par apko Bahut kuchh padhne or seekhne ko milega. Aap is Blog ka Youtube channel bhi follow kar sakte hain. Meri recommendation hai ki aap iske Youtube Channel ko jarur Follow kare. Apke Blogging se related kafi sare doubts inke Videos dekh kar asani se clear ho jaenge jo aap padh kar nahi clear paa rahe honge.
Is Blog ke bare me or Vistaar se janne ke liye apka vikasplus.com ka about page padh sakte hain.
Yeh Blog bhi meri pasandida blogs me se ek hai. Is Blog par apko Motivational Stories, Hindi Stories etc se related artilces padhne ko mil jaenge.
Yeh Blog Sandeep Negi dwara bnai gyi hai joki ek Graphic Designer hai or sath me bahut hi achhe insaan.
Is Blog ka Content bahut high quality ka hai or yeh aap inke artilces ko padh kar andaza laga sakte hain. Apko is blog se bahut kuchh seekhne ko milega. Apni Writing skills ko develop karne ke liye aap is blog ko regularly padhe.
Achhiprerna.com ke bare me vistaar se janne ke liye about page visit karen.
Yeh Blog Jamshed Azmi dwara shuru ki gyi hai joki professionally ek Baal Sahityakar hain. Inki kafi saari rachnaye pramukh akhbaaro or News Magazines me publish ho chuki hai toh aap Is blog ke Content ka andaza toh isi baat se laga sakte hain.
Ye Blog Blogging, Hindi News, Computer and Tech tips etc. se related hai. Quality Articles or tech tips and tricks ke liye aap is blog ko follow kar sakte hain.
Kanafusi ke bare me vistaar se janne ke liye About Page Padhe!
Yeh Blog Raghav Tripathi dwara shuru ki gyi hai joki ek IT Engineer hain. Is Blog ka content bhi kafi rich hai. Ap is Blog ko visit kar hindi me blogging, online money making etc. ke bare me kafi kuchh seekh sakte hain.
Is Blog par Articles bahut achhe se likhe gye hai or dhyaan rakha gya hai ki logo ko sari tips and tricks achhe se samjh me aye.
Is site ke bare me vistar se janne ke liye about page visit kare!
Is site par apko shayad apki sari Problems ka solution mil jaega. Is Site par articles ka khajana hai. Yaha apko Dhero Hindi articles padhne ko mil jaenge, yaha apko computer ke bare me sari jaankari, tech or Social network se judi rochak kahaniya, Internet ke bare me hindi tips and tricks or bhi bahut kuchh mil jaega.
Me itna kuchh likh kar bata nahi paunga aap khud is website par jaakr ek baar check kare.
Yeh Blog Abdul Qader Khan dwara shuru ki gyi hai. Is blog par apko Hindi Motivational stories, quotes, computer tricks, personal development etc. se related jaankari milegi.
Yeh Blog bhi Content quality ke maamle me bahut hi upar hai. Is blog par apko bahut si biographies padhne ko mil jaengi joki kafi inspiring hain.
Is Blog ko bhi aap jarur visit karen. Aap is blog ke bare me vistaar se janne ke liye about page padh sakte hain.
Toh Friends yeh thi Some of the Best Hindi Blogs to Follow.
Jesa ki mene pahle bhi bataya mene in Blogs ko kisi bhi kram me nahi rakha hai yeh blogs apne aap me hi best hindi blogs hain.
Yeh sari hi blogs kafi achhi quality ki hai or jo log in blogs ke pichhe hain ve kaafi achhe or Hardworking Log hain jo ki Logo me Positivity felane ka kaam kar rahe hai.
Inme se kuchh Blogs nayi or kuch purani ho sakti hain ya kuchh ki Alexa Rank kam ya jyada ho sakti hai par Content ke maamle me sari hi Blogs bahut achhi hain.
In Blogs ke alwa or bhi kafi Blogs hain joki Content ke mamle me bahut achhi hai par sabke bare me likhpana possible nahi hain.
Agar aap bhi Aisi hi kinhi Blogs ko Follow karte hain toh jarur btaye or logo ki help karen.
Apko yeh post kesi lagi kripya hame btaye.
Email: thepradeeptyagi@gmail.com
ReplyDeleteweb designing company in chennai
भाई, मेरे ब्लाग को स्थान देने के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद। आपकी पोस्ट बहुत ही अच्छी है और एक साथ बहुत ही अच्छी साइटस देखकर बहुत अच्छा लगा है। आपके इस कदम से लोगों को बहुत Help मिलेगी।
ReplyDeleteप्रदीप भाई, आपका नया लोगो तो बहुत ही अच्छा है। यह आपने बाजार से बनवाया है या किसी साइट पर जाकर बनाया है। क्या इसका पैैसा भी चुकाना पड़ा है। मेरा लोगो अब तक नहीं बन पाया है। कृप्या मदत कीजिए।
ReplyDeleteThanx for visiting jamshed bhai and Me Graphic Design ka student hu so khud hi banaya hai Experiment karta rahta hun. or Jis prakar aap mehnat karte hai apne blog ke liye or logon ki help ke liye, unique or achhaa content lekar ate hai mujhe khusi hoti hai ese logo ke baare me btane ki. Taki or bhi log laabh le sake apki or apke jaisi blogs se. and Thanx once again.
DeleteAgain a nice share Pradeep bhai.
DeleteJamshed ji apki website ka logo me free of cost design kar sakta hun please contact me.
Thank You
हिंदी की इन टॉप साइट्स के बारे में यह जानकारी पढ़कर बहुत अच्छा फील हुआ. हम सभी को इस हिंदी ब्लॉग्गिंग को मिलकर आगे बढ़ाना चाहिए.
ReplyDeletehmm sahi kaha surendra bhai apne and thanx
Deletevery good....itne acche top hindi bloggers ke bare me batane ke liye dhanyavad.....
ReplyDeletethanx Amul bhai
DeletePradeep ji. Thank you so much. Apne mere baare me itna badha chadhakar btaya hai. Apke itna protsahan ke liye main apka tahe dil se shukriya karta hu.
ReplyDeletethanx for providing us Beautiful Hindi articles Sandeep Bhai you are doing a great job
DeleteThanks Pradeep Tyagi,
ReplyDeleteAapne mere blog ko bhi is list me shamil kiya. Bahu bahut dhanyawad.
Thanx Jume Deen Bhai for visiting my Blog.
DeleteTop hindi blogs ki perfect list banayi hai apne, Thanks for this pradeep bro
ReplyDeletethanx bhai
DeleteThank you Mr. Pradeep Tyagi ji. Aapne HindiseHelp ko apni List me Add kiya. Aap Bhi bahut acha Blog Likhte hai. aap Aise hi Mehnat or lagan se Blogging kariye. aapko Bahut taraki milegi. Thank you
ReplyDeletethanx for visiting my blog and you are doing a great job.
Deleteachhikhabar.com to sbse achha hindi blog hai aur gyanipandit.com , hindisahityadarpan.in bhi kafi achhe hindi blogs hai jo isme nahi add.
ReplyDeletehmm aisi bahut si websites hain joki kafi achha content provide kara rahi hai hindi me.....
Deletethanks for add my sites, great collection brother
ReplyDeleteBhot acha post hai bhai
ReplyDeleteAll the blogs are doing very good. Your blog is also good, i saw many good articles here.
ReplyDeleteबहुत ही उम्दा ..... बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति .... Thanks for sharing this!! :) :)
ReplyDeletesabhi blog ek dum badhiya hai or aapne apne andaaz me batakar inko or popular bana diya hai.
ReplyDeletethanks Jandail bhai
DeleteI follow Hindimehelp and hinditechblog.in which is yours. Hope you will also like my blog.
ReplyDeleteHello Krunal mine is hinditechblog.in
DeleteThank you for these excellent tips.Some of them are totally new knowledge for me.i am a new blogger and will be using some of them.once again Thanks for sharing with uslifehacks in hindi
ReplyDeleteThanks buddy
DeleteSir Fabulas Blog Me Aapke Blog Ka FAN hu | Me Aap ke Hur Post Parta hu | Sir Me bhi ek Hindi blogger hu |Muze Blogging me 2 Sal huye Par mene internet par Sabse jyda pada hua Post Aap ak hi hai Thank You For Share All Article
ReplyDeleteThank you buddy
DeleteHi, Really great effort. Everyone must read this article. Thanks for sharing.
ReplyDeleteशानदार पोस्ट ... बहुत ही बढ़िया लगा पढ़कर .... Thanks for sharing such a nice article!! :) :)
ReplyDeletethank's sir for shearing this great indian blogger list.
ReplyDeleteIt will motivate new bloggers. I love reading these blogs.
ReplyDeleteThanks for sharing such a great article
Thanks for the information.
ReplyDeletethnx
ReplyDeletehii i m regular reader of this blog, good
ReplyDeleteinformation thanks for sharing
very good list thank you for sharing
ReplyDeleteye mera blog hai plz ek baar dekh ke batayen ki theek hai ki nhi
haberhunt.com
Thank you Mr. Pradeep Tyagi ji. Aapne Helphindi.in ko apni List me Add kiya. Aap Bhi bahut acha Blog Likhte hai. aap Aise hi Mehnat or lagan se Blogging kariye. aapko Bahut taraki milegi. Thank you
ReplyDeleteI don’t know how should I give you thanks! I am totally stunned by your article. You saved my time. Thanks a million for sharing this article.
ReplyDelete