Precautions to take before installing any Custom or Third-party Templates in Blogger in Hindi

Share:
Cover page of Blogger tutorials about precautions to take when installing custom template
Screen Shot of Hindi tech blog cover page of blogger tutorials in hindi



Hello Freinds, 

Kya aap apni Blog ke design ya Template ko badalne ke bare me soch rahe hai?

Toh thoda rukiye or is Blogpost ko ekbar jarur padhiye. 


Agar aap apni Blog se oob gye hai or ek nayi Custom Template install karna chahte hain toh, aapko kuchh saavdhani bartani chahiye. Kyunki...

Savdhaani Hati Durghatna Ghati
 Ji haan, aaj me is blogpost ke dwara apko thoda sachet(Aware) karna chahta hun, taki aap bhi wahi galti na kare jo galti mene ki thi nayi Template install karte samay.


Hamme se jyadatar New Bloggers paise kamane ke liye bahut jaldi me rahte hain. Dil me bas yahi chal raha hota hai ki " Jaldi se Blog Banaye, kahi se bhi, koi si bhi free Template install karke, jaldi jaldi posts karna shuru karen" taki jaldi jaldi paisa aaye. Or isi chakkar me ham kafi sari bato ko najar andaaz kar dete hain. Par...

Jaldi Ka kaam Shaitaan Ka
 Blogging bahut Dherya(patience) ka kaam hain, hume Blogging me kadam-kadam par saavdhani baratni chahiye. Jaldi ke chakkar me aap apna nuksaan kar sakte hain.

Aaiye ab baato ko jyada lamba na kheechte huye sidhe Topic par aate hain. Jab bhi aap koi free me Nayi Template install kare to nimnlikhit baato ka jarur dhyaan rakhe....


Template ka chunaav sahi se karen.

  • Agar aap koi Template install karne ki soch rahe hain, toh dhyan rakhe ki template ka desgin apki blog ke content se match kare. Jaise ki agar apki blog Tech se sambandhit hai toh Tech Blogger Template chune, Music se sambandhit hai toh Music Blogger Template ka chunav kare, ya Photo ya Pictures se sambandhit hai toh usi type ki Blogger template ka chunav karen.                                                                                                                                                                                                 kulmilaakar, Apki Blog ka Design apke blog ke content ko define kare. 
  • Free Template ka chunaav karte samay khud ko Bilkul clear rakhe ki apki blog ka design kaisa ho. Template ko mukhya(main) blog par install karne se pahle achhe se uske Demo ko parakh le or bilkul man mutabik hone par hi mukhya blog par install karen, kyunki bar-bar templates lagane-hatane se SEO par bhi farak padta hai or bar-bar apko Templates me apne hisaab se sudhar karne padte hain.

Template ka Chunaav kaha se karen.


Ji haan, Yeh bhi bahut dhyaan dene wali baat hai, Aap kis Website se Template Download kar rahen hain, is baat ka vishesh dhyaan rakhen ki, Hamesha template kisi Trusted website ya Developer dwara design ki gyi ho. 

Kisi bhi eri-geri website se Template download nahi karna chahiye. Kyunki Bahut se non-trusted developers templates me kuch Spam, malware ya phishing programmes daal dete hain, joki, apke or apke viewers ke liye dikkat peda kar sakte hain. Apki Blog Hack bhi ho sakti hai. Apke or apke viewers ke personal info. ko churaa sakte hain. 

Custom Template Install karne se pahle apne man mutabik sare Fer-badal kar le.

Template ko Publish karn se pahle usme sare fer-badal kar le jaise ki Navigation Bar, Side Bars, Footers, Attribution, in sabme apne hisaab se badlaav karle. 
Dhyan rakhe Facebook, Twitter or jitne bhi prakar ke links Template me ho wo apke site ya apke Facebook or Twitter accounts ke ho na ki Developer ke. 

aisa karne ke liye apko template ke codes ko check karna hoga, isliye dhyaan se karen.

Important Note: 

Agar apne Template kisi Trusted Developer ya Website dwara free me download ki hai toh bhi us Template ko theek se check kare kyunki bahut se Developers ho sakta hai apni kuchh hidden(chhupi hui) links dekar, apke viewers ko chura rahe ho. 

Abhi haal hi me, jab main apni blog ka design change kar rha toh mere sath bhi kuchh aisa hi hua. 

Khaskar apna Contact ya Subscription Form ko theek se check kare ki jo viewers apke Blog se Email dwara judna chahte hain kahi wo apke developers ke paas to nahi jaa rahe. 

Subscriber form ko Check karne ke liye kya kare...


Apni Template ko install karne ke bad aap apni blog par jaakar apna khud ka Email Address Subscription form me daal kar "Sign up" ya "Join Now" karen. 

Fir apna Email Inbox check karen ki feedburner dwara apke paas koi Email aya hai ya nahi. Agar nahi aya toh samajh Jaiye ki apka Template Developer apke viewers ko chura raha hai. 

Jaisa ki mene kiya, Maine apna Email Address apne subscription Form me daal or "Join Now" kiya. Fir apna Email Inbox check kiya par mere paas Subscription se regarding koi message nahi aya tha. Kyunki mere viewers mere Blog ki bajay jahan se mene free me template download ki thi us website ko anjaane me subscribe kar rahe they.

Isse bachne ke liye kya kare.

  1. Apne Blog ke Subscription form ko theek se check kare. Usme apni Feedburner Id ko add karen developers ki id ko delete kare. yeh kaam thoda tricky ho sakta hai. 
  2. Free Templates me bahut se credit Developers le leta hain to dhyaan se Check kare ki kaha-kaha apko developer ki link ko delete kar apni links add karni hain.
  3. Kisi jaankar ki salah le.
Agar apko In sab me koi pareshaani ho toh aap mujhse Contact kar sakte hain. Mujhe Khusi hogi apki Help Karne me. 

Aaj ham yahi samapt karte hain Friends!


Agar apko Post Pasand aye toh ise Share karna na bhooley. Aap hume Contact bhi kar sakte hain.




2 comments:

  1. kya baat hai tyagi ji kaafi acha blog bna rakha hai, lekin aapke post ke url ka permalink topic ke saath saath month aur date bhee show kar rha hai isee theek kare.

    ReplyDelete
  2. Thank you for this great information precautions to take before installing any Custom or Third-party Templates in Blogger. This is in Hindi hence evryone can can read and understand easily.

    ReplyDelete