How to make real money online in Hindi ( Freelancing )

Share:
Freelancing business career hindi
How to make money online hindi cover image


Hello Dosto, Yeh blog shayad mene 12-14 months pahle shuru ki thi or mene hamesha koshish ki, ki me is par regular new updates, new articles wagerah likhtaa rahu, par shuruwat ke 2-3 months tak likhne ke baad mene likhna band kar diya. Kyu?

Aaiye me apko batata hu..

Mene yeh blog Online Money or logo ki help karne ke liye banaya tha. Par jab mene ispr likhnaa shuru kiya toh me bhi wahi kaam kar rha tha joki kuchh  Hindi Bloggers kar rahe the. Jese ki Wahi sari Cheezo ke bare me likh raha tha joki apko or Hindi Blogs par padhne ko mil jaega, Jese ki "How to create blog", "How to Create sitemap" or wagerah wagerah. par ese topics par toh apko dhero blogs mil jaengi.

Jab yeh sab articles apko pahle se hi or blogs par padhne ko mil jaenge Toh mera wahi sare articles likhne ka kya matlab. Me kuchh  alaga karna chhahta tha, jaha me apne viewers ki help kar saku. 

Toh me itne time tak kya kar raha tha? 

Kuchh dino tak mene apna pura time yeh sochne me lagaya ki me alag kya kar sakta hun?, me apne viewers ki help kese kar sakta hun?

 Mujhe Graphics(drawing) or Websites Development me kafi interest hai or me online hi work karna chahta tha or sath me blogging ke dwara aap sabhi ki help toh isiliye in kuchh months tak mene apna puraa time Graphics or Web Design(abhi pura nhi hua hai course) Seekhne me lagaya. Abhi mera Graphics or Web ka course chal rha hai or sath hi me Freelancing bhi kar rha hu jisse meri earning bhi ho jati hai, par ab mujhe itna toh experience ho gya hai ke apki help kar sakta hu agar apko chahiye ho toh....

Aap me se bahut se log Blogging ko hi online money making ka vikalp mante hai par esa nhi hai, aap or bhi kai tariko se online pesa kama sakte hain bas farak yeh hai ki Blogging me apko jyada paisa kharch nahi karna padta. Par apke paas or bhi kai sare vikalp hain jinse aap online paisa kama sakte hain or unhi kuchh vikalpon me se ek hai Freelancing ka. Par freelancing ke liye apko apni skills par thoda kaam karna padega.   

Aap me se bahut se log Freelancing ke bare me jante honge or jo nhi jante unko bata du ki Freelancing se aap bahut paisa kama sakte jitna aap blogging se kabhi nahi kama paenge. Aap lakho Rupees par month kama sakte hain lekin paisa jyada toh mehnat bhi jyada. Bahut se Freelancers ne toh khud ka Business empire tak khada kar liya hai. 

Toh aiye ab jante hain...

What is Freelancing and How to make money online? (Freelancing kya hoti hai or online paisa kese kamaya jaye)


Yeh ek esa tarika hai jisse aap ghar bethe pesa kama sakte hain par iske liye apke paas kuchh skills hona jaruri hai. Jaise ki Mujhe drawing ka passion tha toh mene Graphics or Web Development me Freelancing start ki. Aap apne niche(subject) ke anusar freelancing career shuru kar sakte hain. Agar apko likhna pasand hai toh aap writer ke taur par freelance career shuru kar sakte hain ya apko animation pasand hai toh aap animator ke taur par online kaam kar sakte hain..

Freelance me apko karna yeh hota hai ki apko online projects milte hain or un projects ko complete karne par apko pese milte hain. Projects kese bhi ho sakte hain jaise ki kisi ko apni company ka logo banwana hai ya kisi ko apni blog ke liye kuch articles likhwane hai ya kisi ko website design karani hai ya kisi ko  apni photo edit karani hai etc. toh us company ya individual ka kaam complete karne par apko wo paise deta hai, toh is tarah se aap freelancing se online money kama sakte hain

Yaha par jo apse kaam karaa raha hai wo desi ya videsi koi bhi so sakta hai sochiye agar wo America jaisi country se hua toh wo apko dollar me pay karega or dollar ki keemat India me kitni hai aap jante hi hain. 

How to Start a Freelance Career

iske bare me vistaar se me apko apne aage ke articles me btaunga abhi ke liye me apko short me batatu hu, Blogging ki tarah hi freelancing bhi bahut patience(dherya) ka kaam hai. Isme bhi success hone ke liye apko bahut hardwork karna padega par iska outcome Hindi blogging se kahi jyada hai. 

Par Freelancing me success hone ke liye apko iske layak banana hoga, apko apna niche(subject) ya talent khoj kar uspar kaaam karna hoga. Jese ki agar aap graphics ya web me shuru karna chahte hain toh apko Graphics or Web seekhna hoga, iske liye aap koi insititute join kar sakte hain ya aap youtube ki help bhi le sakte hain, ya aap Hindi Tech Blog ko Follow karte rahiye, or ek baar aapne apne niche(subject) par pakad bana li toh aap successful jaroor honge.

Toh sabse pahle aap apna ek niche(subject) khojiye. Uspar Pakad banaiye ke koi apko fail na kar sake or khub mehnat kijiye fir aap success jarur honge.

Freelance Career kaise shuru kare vistar se janne ya Graphic Design(Photoshop, Illustrator, coreldraw softwares) seekhne ke liye Please Stay tuned to 
Hindi Tech Blog.

Me niche kuchh Freelance Websites ke names likh raha hu jaha par aap ye kaam shuru kar sakte hain..



Last Words:

Yeh mera real life experience hai, Mene approximately 3-4 months pahle freelancing shuru ki thi or tab se ab tak mene mehnat bhi bahut ki or paise bhi kamaye bahut jyada toh nahi par jitne blogging se nahi kama pata itne short time me. 


Me blogging se related articles bhi likhtaa rahunga par me or vikalpo ke bare me bhi likhunga or agar aap bhi freelancing me career banana chahte hain ya freelancing shuru karna chahte hain toh comments me mujhe bataye. Agra aap Graphic Design se related kuchh janna chahte hain toh kripya comments karke mujhe bataye. 

Or yaad rakhe Freelancing kare par blogging na chore.... 

Mujhse judne ke liye Facebook, Google+ par follow kare....


4 comments:

  1. bahut acchi jankari.

    http://tech2hindi.in/

    http://siwanrinku.blogspot.in/

    ReplyDelete
  2. बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति ... शानदार पोस्ट .... Nice article with awesome depiction!! :) :)

    ReplyDelete
  3. Hey keep posting such good and meaningful articles.

    ReplyDelete
  4. Nice post, things explained in details. Thank You.

    ReplyDelete